zainab yeh baya karti thi yasrab ki faza mein
kya kya na sitam hum pe huwe karbobala mein
har zulm sahey deen-e-mohammed ki baqa mein
akber sa jawa beta diya rah-e-khuda mein
sotey hain mere laal bhi maqtal ki hawa mein
daag bahatar laayi hain
amma zainab aayi hain
dasht -e- bala mein bhai hain
dekhun jidhar tanhayi hain
daag rasan ke layi hain . . . 2
amma zainab aayi hain
1. koi nahi abed ke siwa
kisse kahoo jo zulm huwa
kuch to kaho dukh paayi hain
amma zainab aayi hain. . .
2. sham-e-ghariba karbobala
jalte qaimein aaho buka
manzar manzar laayi hain
amma zainab aayi hain. . .
3. fauz-e- adoo baad-e-sarvar
cheen chuki kaano se gohar
kaisi qayamat dhaayi hain
amma zainab aayi hain. . .
4. manzil manzil ranjo alam
karbobala ta qaid-e-sitam
binte ali dukh paayi hain
amma zainab aayi hain. . .
5. shaam ki raahey pesh -e- nazar
mehfil mehfil be chadar
kisse kaho rusvayi hain
amma zainab aayi hain. . .
6. shehrey madina veera hain
chehra chehra hairaa hain
kaisi udaasi chaayi hain
amma zainab aayi hain. . .
7. jalta sehra zaqmi badan
qaak-e-bala thi jiska kafan
kurta usi ka laayi hain
amma zainab aayi hain. . .
8. roke farid us dam yeh kaha
kya kare zainab jeeke bhala
dashte bala mein bhai hain
amma zainab aayi hain. . .