Kanz e Aza

Abbas Ja Rahe Hai

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

saqqa e haram sunte hai pyason ki sadayein

abbas ko tadpati hai qaimon ki fizayein

is tarha se mashkeeza bhara nahr pe ghazi

choo paaye na abbas ko darya ki hawayein


abbas jaa rahe hai


hosh o hawaas le kar

bachon ki aas le kar

aankhon may pyaas le kar

abbas jaa rahe hai...


ab gham ki inteha hai

qaimon may ghul macha hai

ek majlis e aza hai

abbas jaa rahe hai...


mashk e sakina khaali

thi jaise ek sawaali

saqqe ne hai uthaali

abbas jaa rahe hai...


haathon ko de ke ghazi

jeeti hai ran may baazi

pyasa hai ab namazi

abbas jaa rahe hai...


abr o falak hai zakhmi

farq e falak hai zakhmi

baazu talak hai zakhmi

abbas jaa rahe hai...


gurz e sitam laga hai

teer e sitam chala hai

qalb e falak hila hai

abbas jaa rahe hai...


mask o alam mile hai

ahle haram mile hai

loh o qalam mile hai

abbas jaa rahe hai...


saabir hai bawafa hai

farzande fatema hai

iqbal ghamnawa hai

abbas jaa rahe hai...