wavaila hai wavaila
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila
gham hadh se siwa hai zainab ka
abbas nahi hai wavaila
shabbir jhukaye sar ko chale
parcham ko liye mashkeeza liye
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
ek bhai hua bhai se juda
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
kya hashr bapa hai maqtal mein
kubra hai bani bewa pal mein
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
farwa ka pisar pamaal hua
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
laila ki tamanna khaak hui
har aarzoo dil ki chaak hui
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
akbar ka jigar maqtal mein chida
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
jhoole se gira nusrat ko chala
wo teere sitam pyase ka gala
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
mitti mein mila naazon ka pala
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
bhai ke galay par taygh chali
faryad kuna hai binte ali
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
ye keh ke kaleja thaam liya
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
kya shaam e ghariban aayi hai
yun gham ki udaasi chaayi hai
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
qaime bhi jale kurta bhi jala
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
jab chaaha sitam bachi pe kiya
jab chaaha tamache maar diya
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
karti hai sakina aah o buka
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
jab shimr e layeen ne tadpaya
tab bali sakina ne ye kaha
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
ab aake bachalo ay baba
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
pyason pe rahi wo jor o jafa
darya pe layeen ka pehra raha
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
har zulm nirala sheh pe hua
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
wo ban mein luti aulaade ali
bin tere hui hai aal e nabi
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
ab aaye yahan par tum baba
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
baba ne kaha tha ay zainab
tootenge sitam tujhpe zainab
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
chin jayegi tere sar se rida
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...
thi binte ali us dam behaal
kehti hi rahi saabir iqbal
wavaila hai wavaila
wavaila hai wavaila
har zulm rawan zainab pe hua
abbas nahi hai wavaila
wavaila hai wavaila...