abbas piye kaise pani abbas ka aaqa pyasa hai
qaime may sakina pyasi hai aur bacha bacha pyasa hai
abbas ne jab peene ko kaha rehwaar ne bhi moo phayr liya
matlab tha yehi mai kaise piyu baysheer hamara pyasa hai
abbas piye kaise...
barsat ka mausam bhi to nahi pani ka barasna na mumkin
darya bhi udoo ki qaid may hai shabbir ka kunba pyasa hai
abbas piye kaise...
paaya jo sakina ne pani ye kehke badi maqtal ki taraf
asghar ko pilaungi pehle nanha mera bhaiya pyasa hai
abbas piye kaise...
jab shere khuda ne pyaso ko kausar pa diya jaame kausar
moo phayr liya sab ne keh kar ahmed ka nawasa pyasa hai abbas piye kaise...
laghar hai bahot bemaar bhi hai zanjeer badan se bhari hai
durre na laga abid ke shaqi wallah ye bhooka pyasa hai
abbas piye kaise...
azaad hui itrat lekin zindan may sakina hai ab tak
chidkao lehad par kaun kare har zarra zarra pyasa hai
abbas piye kaise...
ashkon ke ye jharne ankhon se chauda sau baras se jaari hai
sairaab abhi tak ho na saka rumaale zehra pyasa hai
abbas piye kaise...
abbas ka jis may zikr na ho baysheer ki jis may pyas na ho
kitne bhi masayab ho anwar lekin wo noha pyasa hai
abbas piye kaise...