Kanz e Aza

Amma Kab Ghar

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

amma kab ghar jayenge

qaid may kya mar jayenge


subho parinde jaate hai

sham ko wapas aate hai

kya hum bhi ghar jayenge

amma kab ghar...


baap ka sar be-peeron may

bhai hai zanjeeron may

kaise le kar jayenge

amma kab ghar...


khwaab may baba aaye thay

mujhse lipat kar kehte thay

khuld may le kar jayenge

amma kab ghar...


maut ka sar par hai saaya

aisa lagta hai bhaiya

qabr bana kar jayenge

amma kab ghar...


mai nahi hargiz manungi

bas ek shart pa jaungi

ammu le kar jayenge

amma kab ghar...


shaah ka laasha maidan may

ahle haram hai zindan may

hum to yahin mar jayege

amma kab ghar...


mar gayi ek din wo anwar

jo ye kehti thi aksar

qabre nabi par jayenge

amma kab ghar...