Kanz e Aza

Ammu Bhi Nahi Aaye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

ammu bhi nahi aaye baba bhi nahi aaye

kya baat hai darya par jo jaaye wo reh jaaye

ammu bhi nahi....


batlade koi itna kis ja hai mere ammu

mai jaake mana loongi koi mujhe samjhaye

ammu bhi nahi....


akbar hai na qasim hai na aun o mohamed bhi

ghar laut ke maidan se ab tak to nahi aaye

ammu bhi nahi....


shayad ke behal jaata dil jhoola jhulane se

nanha sa mera bhai asghar bhi chuta haaye

ammu bhi nahi....


awaaz to do baba hai hadde nazar laashe

ab dhoondne koi bhi jaaye to kahan jaaye

ammu bhi nahi....


kano se mere cheene jo shimre sitamgar ne

baba jo gohar mujhko jo thay aap ne pehnaaye

ammu bhi nahi....


naalon se sakina ke moo ko hai jigar aaya

khamoshi anees-e-gham ye qalb na phat jaaye

ammu bhi nahi....