maqtal me ye kehti rahi sar peet ke zehra
abbas tera bhai hai maidan me tanha
har lamha qayamat ka tha har gaam pe mehshar
ek roz me taraaj huwa mera bhara ghar
wo laashe uthate huwe ab thak gaya beta
pyaase pe sitam karte hai har tarha se naari
larza hai qadam zakhmo'n se hai khoon bhi jari
akber ki judai se hai ankhon me andhera
allah qayamat ye kisi ghar pe na aaye
is tarha ki mazloomi kisi ko na dikhaye
nouha yahi sarwar ka hai mai ho gaya tanha
ab saath bhatije hai na bhaanje hai na bhai
mazloomiye shabbir pe roti hai khudayi
kuch der ka mehmaa'n hai mohammed ka nawasa
marjayegi saidaniya'n is ranj o alam se
dharas thi har ek bibi ki bas tere hi dam se
ab zainab o kulsoom ka parda na bachega
manzar thi gham angez wo shehzadi ki guftaar
tharrane laga lasha e abbas e alamdar
aayi ye sada kya karu'n majboor hai saqqa