Kanz e Aza

Abbas Tere Khoon se

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Muntaqim Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

abbas tere khoon se rangeen hai alam tera

dil seene mein jab tak hai jayega na gham tera


tooti jo kamar sheh ki bas do to sadme thay

ek fikr thi zainab ki aur doosra gham tera

abbas tere khoon se...


mashk aur alam sarwar darya se utha laaye

zainab se utha hoga kis tarha se gham tera

abbas tere khoon se...


ay sher e jari jab tu darya ko sidhara tha

tha mashke sakina mein ya seene mein dam tera

abbas tere khoon se...


behte huwe pani mein tasveer e sakina thi

dam de diya darya se utha na qadam tera

abbas tere khoon se...