ya aqi ho kahan
aina abbas aina abbas
zainab pukari rokar abbas tum kahan ho
hote hai zulm hum par abbas tum kahan ho
bas ek hi rasan mein baara gale bandhe hai
har ek qadam pe bhai dam sab ke ghut rahe hai
ay bawafa dilawar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
aada ne kar diya hai dushwar iska jeena
har saans le rahi hai mushkil se ab sakina
ab jaan balab hai dukhtar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
hum sab ke sar khule hai abid ka sar jhuka hai
sadme se sar jhuka kar bemaar ro raha hai
mar jaaye na ye laaghar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
teri behen pe durre barsa rahe hai aada
kis ko bulaye zainab itna bata do bhaiya
koi nahi hai yawar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
apna nahi hai koi aa kar jo inko roke
baaghi ki ye behen hai shaami ye kehke mujhpe
barsa rahe hai patthar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
ahle haram pe zaalim angaare phaynkte hai
arz o samaa hamari ghurbat pe ro rahe hai
ghayyur sher e hyder abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
apne alam ko laa kar meri rida bana do
darbar ja rahi hoon kuch hausla badha do
sar par nahi hai chadar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...
waiz ali mohammad wo dard ki ghadi thi
darbar mein ye zainab jab roke keh rahi thi
hai hashr ka ye manzar abbas tum kahan ho
zainab pukari rokar...