Kanz e Aza

ABBAS UTHO AAG LAGI JALTE HAIN KHAIME

A noha for Hazrat Abbas (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Shole hain bhadakte huwe har simt dhua'n hai

Zainab pa musibat hai qayamat ka sama hai

Kehti hai Muhafiz Mere parde ka kahan hai

Hamghirate Haidar Meri chaadar to bachaale


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime


Phir ghaizeYadullah zamaane ko dikhao

Faryaad chaheeti ki hai Imdaad ko aao

Gohar na chhine aake Bhateeji ko bachao

Daaman se Sakina ke hain lipte huwe shole


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime


Tum aao to phir zulm ki taqat na rahegi

Tum aao to Zainab ki rida chin na sakegi

Tum aao to beemar ki masnad na jalegi

Tum aao to beemar pa barseinge na kode


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime


Barchhi ki ani par hai abhi tak Dile Akbar

Aur Baap ki aaghosh me kumhla gaye Asghar

Shabbir ki gardan pa chala shimr ka khanjar

Ab Aabide Beemar bhi sholo'n me ghira hai


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime


Jalti hui reti pa pade hain tane Besar

Ye Auno Mohd hain Wo Qasim hai Wo Akbar

Phir ek naye zulm pa tayyar hai lashkar

Paamaaliye Shabbir ke hote hain iraade


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime


Ab Aale Mohammad pa qayamat ki ghadi hai

Kya waarise Tatheer pa uftaad padi hai

Ye Dukhtare Zehra hai jo balwe me khadi hai

Beemar sambhalta nahi'n kode hain baraste


Abbas Utho aag lagi jalte hain khaime