Kanz e Aza

Abbas Yaad aaya Abbas Yaad aaya

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

abbas yaad aaya abbas yaad aaya


kadiyal jawa'n ka laasha jab sheh se uthna paya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


tuti huwi kamar ke ehsaas ne rulaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


maqtal ki simt aake bete se pehle dekha

tha gham se tukde tukde ek baap ka kaleja

tuti hai dil me barchhi akber ne jab bataya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


zakhmi jigar pe jis dam akbar ka haath dekha

hasrat bhari nazar se soo-e-furaat dekha

dariya ki simt douda sheh ke badan ka saya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


jalti zamee'n pe mayyat ek chaand ki dhari thi

akber ki noujawani sab khoon me bhari thi

aankhou'n tale andhera maqtal me aisa chhaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


afsos shaahedee'n ki mushkil ka hal na nikla

seene se noujawa'n ke barchhi ka phal na nikla

khud bekasi ne sheh ki khoon e jigar bahaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


badhta hi jaraha tha sheh ke badan ka rasha

atthara saal wale noor-e-nazar ka lasha

rakha kabhi zamee'n par rakh kar kabhi uthaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


bachou'n ne aake jis dam sheh ko diya sahara

sharmindagi se kaampa jisme hussain saara

yasrab ka shaahazada aansu na rok paya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


saidaniya'n khadi thi dar par udaas aake

shabbir ne kaha jab khaime ke paas aake

zainab hussain apne yousuf ko dhoond laya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


hamsheer ne jigar par taaza kharaash dekhi

bhai ke dosh par jab akber ki laash dekhi

khaime ke dar pe aake zainab ne dil badhaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


jis dam paye kaneezi maangi gayi sakina

zehra ki laadli ko yaad aagaya madina

saadaat ka ta'arruf jab shimr ne karaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya


the is qadar masayeb kuch dardnaak akhter

dil hogaye sabhi ke bas gham se chaak akhter

nouha ye anjuman ne jab jab tera sunaya


abbas yaad aaya abbas yaad aaya