haye ghurbate abbas
ruqsaar mere khoon se ghalta bhi pade hai
tapti hui reti se moo ghazi ke atay hai
taqdeer se lachaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo be-dast hoo aaqa
mai bekas o lachaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
mai kis tarha aaqa teri tazeem ko uthoon
zakhmi hai mere honth bhi lab kis tarha kholoon
mai kaisa madadgaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
jinpe tha bada naaz wohi saath nahi hai
ye waqt ajab hai ke mere haath nahi hai
mai hoke bhi lachaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
sunta hoo sakina ka gala hoga rasan may
hai taab kahan itni bhala ghuncha dahan may
is gham se mai do chaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
mai kaise kahoon kis tarha ghode se gira hoo
karwat bhi nahi badli mai waise hi pada hoo
kitna mai labe aar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
shabbir ne abbas ka sar zaano pe rakha
phir bole alamdar se bhai kaho bhaiya
sun kar tera ghamkhaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
jab sar pe laga gurz to phir gir pade abbas
aaqa mere jab mashk chidi mar gaye abbas
har gham se giraftaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...
rehan o mubarak pe ayan kaise ye gham ho
jab khoon may dooba hua ghazi ka alam ho
ghamkhwar hoo lachaar hoo be-dast hoo aaqa
abbas e alamdar hoo...