Kanz e Aza

Abbase e Alamdar lashkare shabbir ka salaar

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2023). Lyrics in Roman Urdu.

Jaan Alamdar Alamdar Alamdar


Shair Aram Karay Jab To Asad Hota Hai

Sochay Hamlay Ka To Zarghaam Kaha Jata Hai

Hota Zaigham Hai Banata Hai Woh Jab Mansooba

Jab Nazar Garhay Ghazanfar Jo Dabochay Hamza

Rok Dy Sans Hadaf Ki To Hai Abbas Magar

Kar Dy Do Tukrhy Shikar Apna To

Haider Haider


Abbas E Alamdar Abbad E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Abbas Hai Bawafa

Abbas Hai Lafatah

Jaisay Ali Haider E Karrar Alamdar

Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar


Aisa Na Salaar Dobara Hua

Aisa Na Sardar Dobara Hua

Kaisay Jari Shah Ky Lashkar Mein Thay

Aisa Na Jarrar Dobara Hua


Maidan Mein Jama Raha

Aadaa Mein Data Raha

Dekha Na Aisa Koi Jeedaar

Alamdaar


Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdaar

Alamdar E Bawafa Alamdar

Alamdar E Karbala Alamdar

Hazrat E Abbas Alaihe Salam


Jitna Barha Naam Hai Wesa Hi Kaam

Itna Baland Aap Ka Maula Maqaam

Aap Ky Mashkoor Hain Saray Imam

Dill Dill Mein Basa Hua

Ghar Ghar Mein Saja Hua

Pak Alam Aur Alamdaar


Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Abbas Hai Bawafa

Abbas Hai Lafatah

Jaisay Ali Haider E Karrar Alamdar

Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar


Aisa Jari Shair Hai Shair E Ali

Shair Bhi Is Shair Say Dartay Hain Jee

Is Ko Zaroorat Nahi Talwar Ki

Ghaiz Ki Kafi Hai Nazar Aik Hi


Laakhon Sy Ruka Nahi

Faojon Sy Daba Nahi

Naam Hai Abbas Khabardar


Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Alamdar E Bawafa Alamdar

Alamdar E Karbala Alamdar


Jang Ki Khatir To Na Ghazi Gaya

Us Ka To Dill Mashk E Sakina Mein Tha

Pyas Py Sadaat Ki Qurban Hua

Warna Yeh No Lakh Ka Lashkar Tha Kya


Pani Jo Na Laa Saka

Dariya Py Hi So Gaya

Pyasi Sakina Ka Woh Gham Khuwar


Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Abbas Hai Bawafa

Abbas Hai Lafatah

Jaisay Ali Haider E Karrar

Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar


Parcham E Abbas Py Aya Karo

Saye Mein Is Ky Sada Betha Karo

Chahtay Ho Gar Dua Manzoor Ho

Noha Sakina Ka Sunaya Karo


Parcham Say Jurhay Raho

Ghazi Say Wafa Karo

Mill Ky Kaho Saray Azadar


Abbas E Alamadar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Alamdar E Bawafa Alamdar

Alamdar E Karbala Alamdar


Jab Hua Shabbir Sy Ghazi Juda

Khaima E Sadaat Mein Kohram Tha

Zainab O Kulsoon Ki Goonji Sada

Haye Ray Abbas Mera Na Raha


Hum Sab Py Fida Hua

Ghazi Ab Nahi Raha

Aal E Muhammad Ka Madadgaar


Abbas E Alamdar Abbas E Alamdar

Hazrat E Abbas Alamdar Alamdar

Lashkar E Shabbir Ka Salaar Alamdar

Jaan Alamdar Alamdar Alamdar