Kanz e Aza

ASEERE FAUJE SITAM QAIDIYE MEHAN ZAINAB

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Hai jiska Ayat eTat'heer Pairahan Zainab

Imamato'n ki Madadgaar khasta Tann Zainab

Hai Shaane Deene Khuda Jaane Panjatan Zainab

Ali ki Jaayi hai Abbas ki Bahan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Wo waate Asr wo maqtal wo sogwaar Fazaa

Nazar ke saamne Bhai ka katt raha tha gala

Tadap Raha tha Badan zere tegh Pyaase ka

Udhar thi mehwe fughaa'n Shah ki Bahan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Chhuta hai Bhai bhi aur marchuke hain Bachhe bhi

Rida bhi Sar pa nahi'n jal chuke hain khaime bhi

Jale hain qalb bhi daaman bhi aur kurte bhi

Chali hai chhor ke Bhai ko bekafan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Jawa'n ka qatl to khud Uske Dil pa bhaala tha

Tha Gham Azeem to Shabbir ko sambhaala tha

Qadam jo khaime se pehle pahal nikaala tha

Sahara dene ko aayi thi pur mehan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Dayaar e Kufa me taqreer se jihad kiya

Diya hai shaam ke darbaar me kabhi khutba

Kabhi khamoshi se mazloomiyat ko nashr kiya

Kabhi Ali Kabhi Zehra Kabhi Hasan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Khayaal Kunbe ka tha Ro saki na jee bhar ke

Nikalne paaye na armaan Binte Haidar ke

Tha ek qalbe hazee'n daagh the Bahattar ke

Lahad me Le Gayi zakhmo'n ka ye chaman Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab


Qanaat thaam le'n ye Akbare Jawa'n se kaho

Sahara dene ko Aye Saaniye Ali Utho

Bahan ko Aye Shahe Bekas Tumhi sawaar karo

Chali hai Karbobala se suwe Watan Zainab


Aseere Fauje sitam Qaidiye Mehan Zainab