Aye wursa daare Ambia
Aye Maaliko mulke Khuda
Aye Shaafaye Raoze Jaza
Mamnoon hai Kaaba Tera
Jannat Teri Kausar Tera
Aye Faatehe Karbobala
Tu Shaan hai Quraan ki
Tu jaan hai Imaan ki
Tune Khuda ke Deen par
Qurbaan apni jaan ki
Mamnoo'n hai yezdaa'n tera
Aye Faatehe Karbobala
Tu ne sahe kitne sitam
Beto'n ka GhamBhai ka Gham
Takra ke Tujh se thak gaye
Zulm o Sitam Ranj o Alam
HamTeri himmat ke fida
Aye Faatehe Karbobala
Ye Masjidein ye Aastaa'n
Teri balandi ke nashaa'n
Duniya me baaqi reh gayi
Akbar ke sadqe me Azaa'n
Kaaba bana Raoza Tera
Aye Faatehe Karbobala
Laazim hai ye MaatamTera
Waj'he baqa hai GhamTera
Zinda isi Maatam se hai
Deen e Nabi Deen e Khuda
Ye Gham hai Zehra ki Dua
Aye Faatehe Karbobala
Tharra rahe the Ambia
Tu ne jo haatho'n par liya
Khaibar ke dar se bhi giraa'n
Laasha jawan farzand ka
Girya kuna the Murtaza
Aye Faatehe Karbobala
Arz o Sama'n me goonjti
Awaaz e Halmin hai abhi
Aajaaye Nusrat ko Teri
Hur ki tarah gar ho koyi
Ab bhi hai Dar Tera Khula
Aye Faatehe Karbobala
Bhai wo Tera Bawafa
Wo Naa'ebe Shere Khuda
Saahil pa qabza kar ke bhi
Teri qasam pyaasa raha
Darya tadap kar reh gaya
Aye Faatehe Karbobala
Maatam hai ye Abbas ka
Pyaaso'n ki anmit pyaas ka
Ahle haram ki bekasi
Aur dard ke ehsaas ka
Qurbaa'n huwi jis par wafa
Aye Faatehe Karbobala
Pyaasa Ali Asghar Tera
Wo phool sa sookha gala
Jis ko sawaal e Aab par
Teer e Sitam maara gaya
Tune ye Gham bhi seh liya
Aye Faatehe Karbobala
Wo rege garme Karbala
Daste sitam teghe jafa
Kis zulm se kaata gaya
Maula Tera pyaasa gala
Sar Tera naize par chadha
Aye Faatehe Karbobala
Wo Qatl ka Tere sama'n
Maqtal me Zehra ki fugha'n
Is zulm par Roti zamee'n
Aansu bahaata aasmaa'n
Zainab ki wo Aaho Buka
Aye Faatehe Karbobala
Kunba nahi'n hai ghar nahi'n
Jalti huwi tapti zamee'n
Dil me Ghamo ranjo alam
Aur Shukre Khaaliq me jabee'n
Sajde me hain Zainul Aba
Aye Faatehe Karbobala
Bekas aseero'n ka safar
Naizo'n pa mazloomo'n ke sar
Shehzaadion ke sar khule
Mehwe tamasha Ahle sharr
Woh taaziaane aur jafa
Aye Faatehe Karbobala
Ahle sitam sab thak gaye
Ashkon pa kab pehre lage
Har daur me ye GhamTera
Ahle wafa karte rahe
MaatamTera kab ruk saka
Aye Faatehe Karbobala
Woh tere naazo'n ki Pali
Beti Teri pyaasirahi
Sehkar harek zulm 0 sitam
Zindaa'n me aakhir Margayi
Beta tera qaidi bana
Aye Faatehe Karbobala
Kis dil me Tera Ghamnahi'n
Kis ghar me ye Maatamnahi'n
Aaqa Tere Gham ki qasam
Ye Ghamnahi'n to Hamnahi'n
Hai zindagi Teri Aza
Aye Faatehe Karbobala
Beemaar ka zakhmi badan
Dulhan ke baazu me rasan
Kulsoom o Zainab be rida
Aur Tera Laasha be kafan
Mehshar na kyun barpa huwa
Aye Faatehe Karbobala
Maida'n se Zainab ke Pisar
Aaye lahu me doob kar
Khaime me Laashe hain rakhe
Sajde me hai Zainab ka Sar
Haira'n khade hain Ambia
Aye Faatehe Karbobala
Armaan Maadar ke mite
Paamaal Qasim hogaye
Naoshah ka Laasha tha ye
Tukde Dil e Shabbar ke the
Kya haal Kubra ka hua
Aye Faatehe Karbobala
Armaa'n hai ye Dilgeer ka
Shabbir ki Hamsheer ka
Jaweed ye jeena bhi hai
Sadqa Gham e Shabbir ka
Dete raho bas ye Sada
Aye Faatehe Karbobala