Tere Gham Mein Sada Roega Ye Jahan
Aye Hussian Mere Jaan
Saath Hai Tere Maa Aye Hussain Mere Jaan
Tu Jab Chala Madine Se Dil Mera Phat Gaya
Viran Madina Hogaya Sunsan Ghar Huwa
Yasrab Me Tere Nana Ka Roza Udas Hai
Sugra Mariza Gham Se Tere Be-Hawas Hai
Manzil Yahi Hai Aqri Tayra-o-Qafila
Ye Nainava Hai Mariya Hai Ye Hai Karbala
Phathar jigar bhi roege roega Aasma
Gardan Pa Teer Khayega Jo Tera Bezuba
Dena hai Mere Laal Tujhe Sakhth Imtehan
Akbar Ke Zaqmi Seene Se Khaichenga Tu Sina
Thandi Hawaye Chalti Hai Darya Bhi Pass Hai Lekin Tere Naseeb Me Aye Laal Pyase Hai
Mazhar Ye Bain Karti Thi Ro-Ro Ke Fatima
Agosh Me Hamare Katenga tera Gala