Abbas tujhe ahle wafa yaad karenge
Aashor ki wo raat wo sannate ka aalam
Fitrat ki qamoshi me farishto’n ka wo maatam
Soya hua ran me asadullah ka zaigham Aur khoon me dooba hua islaam ka parcham
Dekhi na gayi bacho’n ki jab tashnadahani
Aankho’n me khatakne lagi moujo’n ki rawaani
Paani ke lie apna lahu kar diya paani
Bachpan pa sakina ke fida kardi jawaani
Qabze me thi talwaar ke qabze me khudaai
Do haath chali thi ke taraai nazar aayi
Bhai ki wegha door se dekha kiye bhai
Yu’n shaane wafa toone wafadaar dikhaayi
Dunya se gaya shaan wafaa’o ki dikha kar
Paani na piya phenk diya muh se lagakar
Ghode se gira khaak pa baazu ko katakar
Soya bhi to soyi hui millat ko jaga kar
Ae Fatima Zahra ke qamar nayyare taabaa’n
Baazue Hussain ibne ali naasere eemaa’n
Qaaliq ki qasam kar gaya islam pa ehsaa’n
Ae mashke sakina ke muhaafiz tere qurbaa’n
Naakaam hui dushmano’n ki koshishe’n paiham
Girne na diya khaak pa islam ka parcham
Jab tak rahi jaa’n jism me seene me raha dam
Rethi pa tahalta raha islam ka zaigham
Kazim koi karta hai to karne do bahana
Goonjega fizaao me wafaa’o ka taraana
Har rang me dhal jaaega ye gham ka fasana
Fitrat to na badlegi badal jaaye zamana