Kanz e Aza

Abbas Tu Jeeta Rahe

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

tu haram ki shaan hai tu haram ki jaan hai

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe


hai ye zainab ki dua

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe


tu hai sarwar ka asa

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe


tu sukoon e dil hai jaane fatema ke waaste

har ghadi dhaaras hai tu shaahe huda ke waaste

tujhko maanga hai ali ne karbala ke waaste

ay alamdar e wafa

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


teri ghairat aasman hai naazishe ummul baneen

karbala mein faqr se kehta hai zainab ka yaqeen

mutmain sab bibiyan hai dekh kar parda nasheen

kaun cheenega rida

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


mashk bahrne ke liye qaime se nikla jis ghadi

baazuon ko choom kar bhai ke zainab ro padi

ghamzada zainab ke dil ki aur bechaini badi

kaampte dil ne kaha

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


de ke ghazi ko alam kehte thay ye shaahe zaman

tere hone se badi dhaaras hai jaan e panjetan

apni chadar ka muhafiz tujhko kehti hai behan

tu hai sarmeina mera

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


kis khadar ehsaas tha ahle haram ki pyaas ka

kat gaye baazu to mashkeeze ko daaton mein liya

isko kehte hai itaa'at isko kehte hai wafa

goonjti thi ye sada

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


quwwat e baazu hai tu sher e khuda ke laal ka

yunhi lehrata rahe parcham tere iqbal ka

aasra hai karbala mein tashnalab atfaal ka

ay sakina ke chacha

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


jang karne ke liye kab haath mein talwaar li

sar jhuka kar bhai se daad e wafa har baar li

nehr se qaime hataye apni khwahish maar li

keh rahi hai fatema

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


faqr se takti hai zainab baap ki tasveer ko

hai bahot tujh par bharosa shaah ki hamsheer ko

kaun jakdega rasan mein zainab e dilgeer ko

hamsar e sher e khuda

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...


jab sune ummul baneen ne karbala ke waqiyaat

aamir o akhtar tasavvur mein thay bas ghazi ke haath

sehn e khaana mein bana kar chaar qabrein ek saath

ek pa ashkon se likha

abbas tu jeeta rahe abbas tu jeeta rahe

hai ye zainab ki dua...