abbas tere bin mujhe dushwaar hai jeena
chadar jo chhini zainab e muztar ne pukara
tum jiske muhafiz rahe aye shere dilawar
ab qaid me abbas wahin hai teri khwahar
tum raahiye jannat huwe mai hogayi tanha
ujda hai bas ek roz me amma ka bhara ghar
rassi me jakad kar mujhe lejate hai'n dar dar
is haal me pursa nahi koi bhi hamara
qaime jale asbaab luta lut gayi khwahar
deti mai kafan tum ko jo hoti meri chadar
jalti huwi reti pa hai maajaye ka lasha
do aake tassali ke pareshaa'n hai sakina
parde ka hamare koi samaa'n karo bhayya
sab dekhte hai'n aye mere ghazi tera rasta
bhayya jise har roz the seene se lagaate
uspar hai sitam roz naya ahle jafa ke
tum aake do masoom ko taskeen khudara
haste hain shaqi ret pa pani ko baha ke
masooma pe ye zulm hai in ahle jafa ke
mazloomi pe in bachau ki phat-ta hai kaleja