Kanz e Aza

Abbas ka Parcham

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

abbas ka parcham hai alamdar ka parcham

uncha hai mere sayyed o sardar ka parcham


parcham mere murshid ka jo ghar ghar pe laga hai

ye saare azadaron pe zehra ki ataa hai

is parchame abbas ko zainab ki dua hai

kaun isko jhukayega bhala kis mein hai ye dum

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


ghazi ka sakina se wafa ka hai ye aalam

parcham se juda mashk hai na mashk se parcham

jaise kisi baazu pe ho taweez muqaddam

ye bali sakina ki dua saath hai har dum

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


matam na ruka tha na ruka hai na rukega

parcham na jhuka tha na jhuka hai na jhukega

har lehza julooson ki qayadat ye karega

ho koi faza koi waba koi bhi mausam

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


parcham ye mareezon ko shifa baant raha hai

dunya ko mohabbat ki fiza baant raha hai

aulaad makan rizq o wafa baant raha hai

kya fikr ho dunya ki hamay kya ho bhala gham

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


ye baat hai bachpan ki mujhe yaad abhi bhi

har aat moharram ko jo baba se kahi thi

ye parcham e abbas uthana hai mujhe bhi

kuch saath mera di jiye hai umr meri kam

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


manzar ye julooson mein nazar aata hai hum ko

tasleem kiya sab ne isi jood o karam ko

sar jhukta nahi uska uthaye jo alam ko

ye naara lagate hai kabhi aap kabhi hum

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...


haan mazhar o farhan nazar aayega ek din

maula ka alam kaabe pe lehrayega ek din

dil fatema zahra ka sukoon payega ek din

khush honge bahot dekh ke ye waaris e adam

uncha hai mere...

abbas ka parcham hai...