thi ahle haram ki bas ye sada
imdaad hamari kar jao
abbas kaha'n ho aajao
ghamgeen bahot hai ye manzar
sheh kaise uthaye laashe pisar
jaane se tumhari tooti kamar
ab dene sahara aajao
ye sounch ke jaa'n wo khoti hai
aisi bhi qismat hoti hai
sar dekh ke zainab roti hai
chadar to behen ko dilwao
wo bhai mera jo lashkar tha
thi jisse dharas zainab ki
ab ahle haram ka koi nahi
ham kaise jiyenge batlao
koofe me apne qatil ki
khulwai thi mushke'n baba ne
ab qaide rasan me zainab hai
shanou se rasan to khulwao
be sar hai sakina ka jo pidar
wo roti khadi hai lashe par
ab taza yateemi hai daawar
pursa dene ko aajao