Kanz e Aza

Aina Aina Ay Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

yusuf e laila shabihe payambar

kehte thay ye ran mein sarwar

ay ali akbar ay ali akbar

ay jaane dil e sarwar ay ali akbar

aina aina ay ali akbar


buka ye sunlo zaroor beta

huwe ho tum jab se door beta

gaya in aankhon se noor beta

huwe hai tareek do jahan

dhoondun mai kahan jaa kar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


uthaye maine tamaam laashe

na haath larze na paaon kaampe

sada tumhari suni hai jab se

laraz raha hai badan mera

ye kehta chala ro kar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


koi tasalli na kuch dilaasa

mai kaise dhoondun tumhara laasha

labon pe naale badan mein raasha

bhatak raha hoo mai jaa baja

hai naad e ali lab par

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


madad ko aayega kaun beta

habeeb o hurr hai na john beta

na mera qasim na aun beta

har ek maqtal mein so chuka

tanha hai padar dilbar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


ye bhook aur pyaas ki nakahat

aur uspe beta tumhari furqat

qadam qadam par nayi hai zehmat

lagi jo thokar to ye kaha

de mujhko sada akbar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


mai kaise abbas ko bulaun

sitam raseeda ka kyun sataun

batade tu hi kahan mai aaun

kahan pe ghode se tu gira

aa jaunga nauhagar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


tamaam waade nibha chuka hoo

lahoo mein apne naha chuka hoo

jo dil pe guzri bata chuka hoo

bas ek baaki hai marhala

takmeel pe hai mehzar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


phupi ki awaaz aa rahi hai

wo beta tujhko bula rahi hai

gham apne tujhko suna rahi hai

de usko awaaz tu zara

kehti hai yehi muztar

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...


yehi tha sheh ka bayaan mazhar

tha jis pe ab nauhakhwan safdar

qalam bhi rota hai likh ke manzar

hussain padte thay marsiya

tha haath kaleje par

ay ali akbar

aina aina ay ali akbar...