alamdar kahan ho
zainab ki buka thi mere ghamkhwar kahan ho
alamdar kahan ho alamdar alamdar alamdar kahan ho
ashoor gaya aayi hai ab gyara moharram
naaqe pe rasan basta suye shaam chale hum
hai aale nabi gham mein giraftaar kahan ho
alamdar kahan ho...
jab ghar se chali tum ne amari mein bithaya
bazaar karo band ye aelaan karaya
mai jaati hoo ab shaam ke bazaar kahan ho
alamdar kahan ho...
maloom hai tujhko ye bada sakht safar hai
unnees maqamaat se zainab ka guzar hai
har gaam wahan honge sitamgaar kahan ho
alamdar kahan ho...
wo dekho barasne lage sadaat pe pathar
jab rote hai sadaat to haste hai sitamgar
hai aale nabi bekas o lachaar kahan ho
alamdar kahan ho...
lamhon ki musafat hui sadiyon ke barabar
darwaza e sa'ad pe khade hum hai khule sar
awaaz tumhe deta hai bemaar kahan ho
alamdar kahan ho...
khamosh hai sab haakim e badkaar ke darr se
gustakhi layeen karta hai sahbbir ke sar se
ay baazu e shabbir wafadaar kahan ho
alamdar kahan ho...
faryad thi zainab ki yehi safdar o mazhar
kis tarha bayan hoga wo darbar ka manzar
aao mere parde ke nigehdaar kahan ho
alamdar kahan ho...