Kanz e Aza

Alamdare Hussain

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Nadeem Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

jaan e hussain alamdar e hussain


ay abalfazl alamdar e hussain

bawafa monis o ghamkhwar e hussain


ye azadaar na bhoolenge kabhi aap ka gham

hum na bhoolenge kabhi khoon mein dooba wo alam

hashr tak aap ki ghurbat ka karenge matam

ay jari aap ke baazu e bureeda ki qasam

ay abalfazl alamdar e hussain...


aap ke dar se liya dars e sharafat hum ne

aap se seekhi hai bhai ki mohabbat hum ne

chadar e saani e zahra ki qasam ay ghazi

aap se seekhi hai behno ki hifazat hum ne

ay abalfazl alamdar e hussain...


ek masooma ke ehsaas pe rona aaya

uski mazloomi pe aur pyaas pe rona aaya

jab bhi parcham pe lagi mashke sakina dekhi

aap ki tooti hui aas pe rona aaya

ay abalfazl alamdar e hussain...


haye maula wo qayamat ki ghadi

sheh ko jis waqt sada aap ne di

aasman dard ka sarwar pe gira

daude ye kehte huwe shaahe huda

mere ghayyur mere shere jari

tere bhai ki kamar toot gayi

aur jeena nahi ab mujhko gawara ghazi

maar daalega mujhe daagh tumhara ghazi

ay abalfazl alamdar e hussain...


haye maqtal ka wo manzar wo musibat maula

ta abad yaad rahegi wo qayamat maula

seena e sayyede waala pe layeen ka zaanu

aur tadpti hui wo aap ki mayyat maula

ay abalfazl alamdar e hussain...


dil bahot rota hai ye soch ke mera ghazi

aap ko jaan se pyari thi sakina ghazi

shimr ne usko tamachon pe tamache maare

aap ne kaise saha hoga ye sadma ghazi

ay abalfazl alamdar e hussain...


dil laraz jaata hai ye sun ke azadaron ka

bhare bazaar mein thay ahle haram beparda

haye kya aap pe guzri hai qayamat us dam

jab ye zainab ne kaha cheeni gayi meri rida

ay abalfazl alamdar e hussain...


haye kis dil se nadeem aap ki ghurbat likhe

is tasavvur se jigar hota hai tukde tukde

mai bayan kaise karun aap ke zakhmi sar ko

shimr ne gardan e rahwaar se baandha kaise

ay abalfazl alamdar e hussain...