alqama tere kanare so gaya ghazi mera
tha bharosa jispe mujhko wo baradar chal basa
jaagte thay jiske darr se ashqiyan-e-bad gohar
haath katwa kar wo bhai chain se ab so gaya
alqama tere kanare…
jab chidhi mashke sakina khoon baha abbas ka
sher ne phir apna ruqh darya ki jaanib kar liya
alqama tere kanare…
phaynk kar kooze ko ye boli sakina dilfigaar
pyas ka shikwa nahi ab laut kar aao chacha
alqama tere kanare…
thaam kar apni rida ko boli ye sheh ki bahan
paasban parde ka mere bawafa maara gaya
alqama tere kanare…
jab kaha abbas ne aaqa mera lije salaam
thaam kar apni kamar ko rote thay shaahe huda
alqama tere kanare…
mashk pe ruqsaar rakh kar sogaya wo bawafa
maut bhi isko bhatiji se na kar payi juda
alqama tere kanare…
ashk mein bali sakina ke nazar aayi shabi
ek naya sa aashiyana ban gaya abbas ka
alqama tere kanare…
is liye ghamgeen hai ay ahmed jari-e-bawafa
pyase bachon tak hassan wo pani na leja saka
alqama tere kanare…