ammu jaan ammu jaan
waadiye ghurbat ke mehman
shaah ki dukhtar laashe chacha par
nehr kanare thi nalaan
ammu jaan ammu jaan
waadiye ghurbat ke mehman
dilbare hyder saani e jafar
shere dilawar tashna dahan
ammu jaan ammu jaan...
baaghe nabi gulzaare ali
pamaal kiye ran mein aada
na baba na bhaiya
rayth hai ban mein laashon ka
jaye taraai dil ko kushaai
kar gaye kunbe ko veeran
ammu jaan ammu jaan...
cheen ke darya pani ko roka
pyason ko pani bhi na diya
amre dagha bachon ka
aah na kuch bhi paas kiya
dard ye utha dil hai tadapta
kiski dawa hai na darmaan
ammu jaan ammu jaan...
kaisi dagha hai kaisi jafa hai
haath juda hai shaano se
dil tukde tan purze
teer o tabar shamsheeron se
qalb hai muztar jaan labon par
dekh ke tumko lahoo lahaan
ammu jaan ammu jaan...
bekas utho bebas utho
ghayre hai qaimon ko naari
haye khaari dukhyaari
bibiyan karte hai zaari
maa hai munawar fidyaye daawar
neend se jaago o nalaan
ammu jaan ammu jaan...
shayda mere saqqa
mere jangal mein ho uff tada
wa darda wa darla
haye sajjada la takiya
rayt pe jalti laash hai tapti
dhoop kadi soona maidan
ammu jaan ammu jaan...
pehlu e anwar aah sitamgar
gurze giran se choor kiya
sar taapa wa darda
behne laga khoon ka darya
nehr kanare laash ko chode
sar hai chadaye noke sinaan
ammu jaan ammu jaan...
shimre badakhtar khaynch ke khanjar
khaufna laakar kaata gala
sayyed ka murshad ka
daagh mujhe kamsini mein diya
maare sadaqat maahe imamat
hogaya mitti mein veeran
ammu jaan ammu jaan...
seena e sarwar haye sitamgar
haif na rutba ruk jaana
aaqa ka maula ka
pad kar kalma ahmed ka
fatema zehra jannat se aa
laashe par hai nauha kunaan
ammu jaan ammu jaan...