Kanz e Aza

Ammu ne Akela

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

har dam tha sakina ka nauha

ammu ne akela chod diya

chut'te hi madina zulm hua

ammu ne akela chod diya


bachpan se abhi tak saath rahe

darya se nahi lekin palte

jeene ka nahi ab koi maza

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


ab kaun pilayega pani

hai kaun jo layega pani

zainab se musalsal tha shikwa

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


hum pyaas jo apni seh jaate

kuch aur wo zinda reh jaate

pani ka taqaaza aisa kiya

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


jab godh may zainab ki baithi

sajjad ke jab seene se lagi

ek saans may sau sau baar kaha

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


haathon ki lakeerein mitni lagi

ab acche mere haalaat nahi

kismat ne diya aisa tohfa

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


shabbir ke ghar bhar ki pyari

zindan e sitam may jab pahunchi

jab dard utha moo se nikla

ammu ne akela chod diya

har dam tha...


zindan e musibat may ishrat

bigdi jo sakina ki haalat

ye kehte huwe dam tod diya

ammu ne akela chod diya

har dam tha...