Kanz e Aza

Ashoor ka Din Tha

A noha written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

maqtal may tha jab chaaron taraf maut ka pehra

ashoor ka din tha


baandhe tha kamar zulm pa jab lashkar e aada

ashoor ka din tha


jab pani ke izhaar pa padte thay tamache

aur zulm naye thay

jab pyaas ki shiddat se tadapti thi sakina

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


jab sheh ne sina khaynchi thi akbar ke jigar se

rote thay farishte

jab sheh ne madad ke liye baba ko pukara

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


jab laasha e qasim pa sitam karte thay sayyaar

maa karti thi faryaad

jab baalon ko bikhraye huwe baithi thi kubra

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


jaab haath kate dasht may abbas e jari ke

darya se na palte

jab shaah kamar thaam ke farmate thay bhaiya

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


maa baithi thi qaime may kaleje ko sambhale

aur karti thi naale

jab sheh ne lahoo chehre pa asghar ka mala tha

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


zainab ke kaleje pa churi chalti thi ghar may

surat thi nazar may

jab shimr e layeen sheh ka gala kaat raha tha

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


jab sar se rida hazrat e zainab ke chini thi

jab jaan pa bani thi

jab mardon may tha sayyed e sajjad akela

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


maadar ki tasalli ka bhi rakha nahi saaman

kaise thay musalman

jab loota gaya asghar e masoom ka jhoola

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


sheh laaye thay jab aun o mohamed ke janaze

maidan se utha ke

jab hazrate zainab ne kiya shukr ka sajda

ashoor ka din tha

maqtal may tha...


ishrat mai bayan kaise karun sheh ki musibat

barpa thi qayamat

jab qabr e nabi hilti thi jab roti thi zehra

ashoor ka din tha

maqtal may tha...