athara baras ke ali akbar ka janaza
akbar ka janaza
sheh laate hai hamshakle payambar ka janaza
athara baras ke...
qaime mein alam aaya hai kohraam hai barpa
darya par hai abbas e dilawar ka janaza
athara baras ke...
is darja sakina se tha sharminda alamdaar
sheh laa na sake apne baraadar ka janaza
athara baras ke...
ay kul ke madadgaar madad karne ko aao
shabbir se uth'ta nahi akbar ka janaza
athara baras ke...
asghar ki taraf dehk ke ye kehti thi bano
kin aankhon se dekhun mai gul e tar ka janaza
athara baras ke...
pamaal hua dasht mein ghodon ke sumon se
kis tarha uthay qasim e muztar ka janaza
athara baras ke...
pad jaaye na ya rab kahin zainab ki nigahein
teeron pa hai rakha hua sarwar ka janaza
athara baras ke...
kya zulm hai tapti hui reti pa pada hai
be gor o kafan sibte payambar ka janaza
athara baras ke...
jab dafn hua fatema sar peet rahi thi
shabbir bin e saaqi e kausar ka janaza
athara baras ke...
bano ne kaha teer hai paywast badan mein
dheere sa uthana mere shauhar ka janaza
athara baras ke...
zainab ne kaha sar se mere chin gaye chadar
tareekh e shab mein utha maadar ka janaza
athara baras ke...
zainab zara bano ke kaleje ko sambhalo
shabbir ke haaton pa hai asghar ka janaza
athara baras ke...
us bahi se zindan ki musibat koi pooche
jis bhai ke haaton pa ho khwahar ka janaza
athara baras ke...
sarwar ki sada aati hai choti si lehad se
lao mujhe de do meri dukhtar ka janaza
athara baras ke...
ishrat mai bayan kaise karun kaise utha tha
maqtal ki zameen se sheh e be-sar ka janaza
athara baras ke...