apna sar peet ke kehti thi ye laila akbar
mar gaye tum hui veeran meri dunya akbar
mar gaye qasim o abbas o hussain ibne ali
ab nahi koi mera poochne waala akbar
apna sar peet ke...
shaam waalon ne tumhe qatl kiya hai jab se
chid gaya hai meri kismat ka savera akbar
apna sar peet ke...
raas aaya na tumhe dasht mein atharwan saal
de diye tum ne hamein dard ka tohfa akbar
apna sar peet ke...
tum ne pardes mein laa kar hamein tanha choda
phat na jaaye kahin is gham se kaleja akbar
apna sar peet ke...
tum ne jis waqt se maqtal mein qadam rakha hai
yaad kar ke tumhe roti hai sakina akbar
apna sar peet ke...
tum nahi aao to itna hi bata do beta
berida jaaye kahan jal gaya qaima akbar
apna sar peet ke...
ghash mein hai sayyed e sajjad zara socho to
kaun uthaye shahe mazloom ka laasha akbar
apna sar peet ke...
dashte pur haul mein mai kaise rahungi tanha
hai ye afsos ke tum ne bhi na socha akbar
apna sar peet ke...
darr rahi hoo ke tumhe aur pareshan na kare
raat ki sard hawa aur ye sehra akbar
apna sar peet ke...
jab se ujdi hai meri maang sar e karbobala
yaad aata hai mohamed ka madina akbar
apna sar peet ke...
laashe akbar pa tha shabbir ka nauha ishrat
le gaye tum meri aankhon ka ujaala akbar
apna sar peet ke...