Kanz e Aza

Armaan Tha Sehray ka

A noha for Ali Akbar (a.s) (2024). Lyrics in Roman Urdu.

Jis chaand se chehray pe armaan tha sehray ka

Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha


Noshaah bana dekha maa ne jissay khwaabo mein

Woh laal jo ghar bhar ki aankho ka ujaala tha

*Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha*


Uljha huwa barchi mei dil bhi hain kaleja bhi

Jis seeney mei dil maa ka behno(n) ka dharakta tha

*Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha*


Kaandha bhi koyi dene aaya na janaazey ko

Bas baap tha betey ki mayyat ke uthanay ko

Ghurbat mei jisse tanha sarwar ne uthaaya tha

*Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha*


Seeney ka lahoo roka zainab ne jo haatho(n) se

Kehti thi koyi jaake abbas ko batlaade

Maara gaya barchi se atthara baras waala

*Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha*


Din byaah ke aaye toh Akbar ko qazaa aayi

Ab laut ke Sughra na aayega tera bhaayi

Ghar laut ke aane ka jis ne tha kiya waada

*Hain saamnay laila ke ab uska jawaa(n) laasha*