asghar ke baad chain na aaya rabab ko
dekha tamaam umr tadapta rabab ko
mai doodh bhi plia na saki apne laal ko
ta zindagi raha yehi sadma rabab ko
asghar ke baad...
kya mera laal aa gaya poocha rabab ne
zainab ne jab kabhi bhi pukara rabab ko
asghar ke baad...
kha kar galay pa teer sar e dasht e karbala
asghar ne kar diya hai akela rabab ko
asghar ke baad...
asghar ke baad saaye mein baithi nahi kabhi
deta raha tassaliyan kunba rabab ko
asghar ke baad...
daag e judaai de gayi zindan e shaam mein
asghar ke saath saath sakina rabab ko
asghar ke baad...
sarwar ke baad qaime jalayenge jab layeen
tadpayega jala hua jhoola rabab ko
asghar ke baad...
hasne ka kya sawaal tha lab tak nahi khule
itna gham o alam ne sataya rabab ko
asghar ke baad...
tu khidmat e aza mein hai masroof jis tarha
ishrat pasand aayega nauha rabab ko
asghar ke baad...