kehte thay shah bata de asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
batla tu ibne kaahil pathar hai kya tera dil
maara jo yun jafa se asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
dekha rabab ne jo asghar ka jism khoon mein
maa ne kaha tadap ke asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
asghar ki tashnagi par rota hai khud khuda bhi
tauheed ke dulaare asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
allah jo ghani hai uska hai ek ye mazhar
is beniyaz bande asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
hyder ka bachpana ab sota hai karbala mein
kaunain ke sahare asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
aankhon se us jari ke darya hai khoon ka behta
kehta hai dil ko thaame asghar ki kya khata thi
kyun hurmala hamare asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...
shaukat aqeel o nasir mehshar mein ye kahenge
ab poocho hurmala se asghar ki kya khata thi
kehte thay shah bata de...