bata rahi hai dilon ki badi hui dhadkan
atash ki aag se ab tak jhulas raha hai badan
qayaam jal chuke haathon mein band chuki hai rasan
aseer hoti hai atthara bhaiyon ki behan
abhi masayib e karbobala se guzri hai
abhi to qaimon se baahar nikal ke baithi hai
kahan ho ay mere abbas ro ke kehti hai
aseer hoti hai...
shaheed ho gaye sab bhai karbala aa kar
rida bhi chin gayi sar se hui barehna sar
jo dekh sakte ho abbas dekh lo manzar
aseer hoti hai...
ajeeb haal se zainab guzar rahi hai yahan
jali qanaaton se ab tak nikal raha hai dhuan
ubhar ke aa gaye baazu pa rassiyon ke nishan
aseer hoti hai...
qadam qadam pa madine ki yaad aati hai
yateem bachon ko taskeen deti jaati hai
kabhi bhatije ko bad kar gale lagati hai
aseer hoti hai...
pase hussain munadi ye de raha tha sada
chuta madina to sab bhayion ne chod diya
mila hai karbobala aake ye naya tohfa
aseer hoti hai...
kise bulaye kise de sada kare bhi to kya
koi bhi abid e beemaar ke siwa na raha
tumhare khat ka likhe kya jawab ay sughra
aseer hoti hai...
ruki ruki hui nafzein hai dil dhadakta hai
qadam qadam pa musibat ka daur dohra hai
jari furaat pa ye baat sun ke rota hai
aseer hoti hai...
tha itna sharm mein dooba hua sakina se
palat ke aaya na abbas mera darya se
kaha ye hazrat e zainab ne ro ke laila se
aseer hoti hai...
kahan pa laayi hai zainab ko ghar kar qismat
hujoom e ranj o alam aur dard ki shiddat
zaban kaun si laaye jo ye kahe ishrat
aseer hoti hai...