hawaon may fazaon may sakina ki duaon may
hai ghar ghar par alam tera alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera alamdar e wafa ghazi
hai ye armaan zainab ka alamdar e wafa ghazi
kahe har matami tera alam jhukne nahi denge
hawa ka zor ho jitna alam jhukne nahi denge
kate baazu chide seena alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
alam se jo hawa aaye shifa baante qaza taale
pharera jab bhi lehraye muhibbon ki bala taale
nahi koi tabeeb aisa alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
tera naukar mere ghazi kisi dar par nahi jhukta
alam jo bhi uthaata hai to sar nahi uska jhukta
julooson may yehi dekha alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
hum arshi hai ya farshi hai yehi hum bhool jaate hai
alam ke saaye may aa kar sabhi hum bhool jaate hai
karam tera hai ye kaisa alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
wafadari ka hai rishta taqaza hai mohabbat ka
bhigo deta hai aankhon ko alam ke saath mashkeeza
karoo ye dekh ke nauha alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
bhara pani se mashkeeza udoo se cheen kar darya
ye bola shimr lashkar se na dena sher ko rasta
bada wo jaanib e qaima alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...
ghazab ke bain hai safdar likhe jo aaj mazhar ne
alam jhukte huwe dekha kaha beti se sarwar ne
ke darya par gaya maara alamdar e wafa ghazi
alam ooncha rahe tera...