uncha rahega alam seene mein hai jab tak hai dam
karbobala ki qasam zinda rahega ye gham
pehre mein muqtar hai haq ke tarafdaar hai
gham ke talabgaar hai hum to azadaar hai
jab talak saans mein hai saans azadari rahegi
dil azadaar rahega har azadaar kahega
kaise jhukega hazrate abbas ka alam
kaise rukega hazrate shabbir ka matam
abhi hum zinda hai hum zinda hai
kaho labbaik ya hussain labbaik ya hussain
ye matami ye azadaar hai dua e batool
isi liye to mila saaya e rida e batool
hussainiyo ki har ek saans hai baraye batool
kaise bhala mitenge zamane se ahle noor
hai maadare shabbir ka elaan ye har dam
abhi hum zinda hai...
qadam qadam pe ye farshe aza bichayenge hum
ghame hussain to har haal mein manayenge hum
gali gali mein charaghe aza jalayenge hum
nazre yazeed hazrate shabbir ki qasam
tera mita ke jayenge hum khaak mein bharam
abhi hum zinda hai...
hawa ke rukh ko badaldenge hum khuda ki qasam
sar e yazeed kuchaldenge hum khuda ki qasam
amal ka rukne amal denge hum khuda ki qasam
humse hai ye zamana zamane se nahi hum
yuhin manaate jayenge har saal moharram
abhi hum zinda hai...
majlise unse wafa sheh ke matam se bapa
ta qayamat karenge hum
ya ali adrikni ya ali adrikni
ta qayamat kahenge hum
hil jayega zamana laraz jayenge qadam
goonjenge jab fazaon mein awaaz hama dam
abhi hum zinda hai...
hamari haami o nasir khuda ki zaat bhi hai
kiya hai azmat o himmat bhi hai sabaat bhi hai
hamare sar pe imame zamaan ka haat bhi hai
daawa bina daleel ke karte kahan hai hum
karte rahenge aag pe zanjeer ka matam
abhi hum zinda hai...
siwaye asghar e baysheer jab koi na raha
ghareeb dasht mein hal min ki de raha tha sada
tadap ke rehgaya har ek shaheede raahe wafa
maujood hum nahi thay wahan ay shahe umam
de ab tu isteghasa to labbaik kahe hum
abhi hum zinda hai...
sada e safdar o mazhar to har jagah hai yehi
ye pursadaar salamat rahe dua hai yehi
labon pe unke hama waqt ek sada hai yehi
kaise jhukega hazrate abbas ka alam
kaise rukega hazrate shabbir ka matam
abhi hum zinda hai...
bola hijaab e ghaib se ye waqt ka imam
hum lene aa rahe hai shaheedo ka inteqam
haye hussainiat ke safeeron tumhe salaam
raahe khuda ke saare shaheedo tumhe salaam
shaamil meri dua mein meri tumhara hi naam hai
tum sab ke waalidayn pe mera salaam hai
ay azadaron utho maut se tum na daro
baandlo sar se kafan in yazeedon se kaho
abhi hum zinda hai...