suye maidan na abhi chod ke jao mujhko
is tarha jaane padar door meri aankhon se
saath le jayegi ye teri judaai aakhir
ay mere tashna dahan noor meri aankhon se
abhi na maidan mein jao akbar
ke laal zahra ka mar na jaye
idhar tumhari baraat nikle
udhar ye jaan se guzar na jaye
abhi na maidan...
zaeef baba jawan bete
ke baad jee kar bhi kya karega
raha na aankhon ka noor baakhi
to deeda e tar bhi kya karega
tumhare dam se jo saans baba
ka chal raha hai teher na jaye
abhi na maidan...
tumhari furqat garan hai dil pe
andhera aankhon pe cha raha hai
tumhari ruqsat ke waqt dil ko
khayaal payham ye kha raha hai
tumhare marne se bibiyon ke
saron se chadar utar na jaye
abhi na maidan...
tumhari sughra ko khat mein baba
tasalli kaise bhala wo dega
batao itna to jaate jaate
jawab qasid ko kya wo dega
tumhare waade pe jo hai zinda
wo sughra bemaar mar na jaye
abhi na maidan...
tumhari shaadi ka jashn karne
kahan kahan se hai aaye zaalim
tumhe lagane lahoo ki mehendi
hai barchiyon ko sajaye zaalim
tumhare nazuk badan mein koi
sitam ki barchi utar na jaye
abhi na maidan...
shabih e ahmed ho tum ay akbar
tumhare dam se hi raahatein hai
tumhare sehre ki paak ladiyan
tamaam quran ki aayatein hai
ye gham hai humko zameen pe beta
tumhara sehra bikhar na jaye
abhi na maidan...
hussain ghash khaake gir pade hai
baraat akbar ki jaa rahi hai
samajh ke dulha shabih e ahmed
pe phool ummat gira rahi hai
ab aur natiq na likhna aage
ke phat hamara jigar na jaye
abhi na maidan...