jaan ki ramaq hussain mein dekhi na jab koi
haibat se paas aate nahi thay magar shaqi
ye dekhne ke zinda hai kya dilbar e ali
bola shaqi ke qaimon ke jaanib badho abhi
ek haath utha lahoo mein shahe mashraqain hai
qaimon ko mat bado abhi zinda hussain hai
mat bado jaanib e qaima
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
ismat o aaya e tatheer ke rakhwaale hai
hurmat e khaana e kaaba ye haram waale hai
jal na jaaye koi qaima
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
dar pe qaime ke hai hamsheer meri mazlooma
mere qaime mein sakina hai meri masooma
us taraf jaane na dega
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
lootne ke liye qaimon ki taraf ho jaate
dekh sakta nahi beti ko tamache khaate
shimr aage nahi badhna
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
tum ne abbas ke bhi kaat diye thay baazu
meri aaghosh mein cheda mere asghar ka gulu
keh ke ye shaah ne roka
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
mere chehre pe hai asghar ke lahoo ki surkhi
mere seene mein hai akbar ke jigar ki barchi
tukde qasim ka hai laasha
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
aakhri saans hai ay zaalimon mai ghalib hoo
mai hussain ibne ali ibne abu talib hoo
azm zakhmo se na toota
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
tum jo badhte ho udhar mujhko jalaal aata hai
ya ali ye meri ghairat ka sawaal aata hai
aage badhne nahi dega
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
teer paiwast thay mai pushte faras se jo gira
mai ghaseet'ta hua qaimon ki taraf hoo badhta
beh gaya khoon ka darya
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
hai yateem ismein hi sehmi hui kuch maayein hai
bain karti hui qaime mein ye bewayein hai
bibiyon ka hai sahara
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...
ay qamar hona hai ek din mere mehdi ka zaroor
sheh ye kehte hai ke waaris mera aayega zaroor
le ke badla wo kahega
choor zakhmo se hai tanha
abhi zinda hai hussain
mat bado jaanib e qaima...