Ek bekaso ghareeb ka kunba ujad gaya
godi ujad gayi koi jhoola ujad gaya
Ae arze karbala teri godi me aan kar
Farzande fatima ka bhara ghar ujad gaya
Paani na mila fatima ke noore ain ko
darya taras ke reh gaya pyase hussain ko
bache atash se maahiye be aab hogaye
aaqar tadap ke mout ki godi me sogaye
laila ka chand zulm ki badli me chup gaya
naiza jigar pa khaake jawani me mar gaya
kya mout thi khuda ki qasam dil dahal gaye
do hichkiyo'n pa qaak me armaan mil gaye
abbas jis ke dam se tha sarwar ko itmenaan
Thi jis ke dam se fouje hussaini ki aan baan
shaane kata ke sher taraayi me so gaya
Zainab ki lo aseeri ka samaan ho gaya
Jhoole me khelta hua bacha hussain ka
do din ki bhook o pyaas me kumbhlaa ke reh gaya
sookhi zabaa'n dikhaane pa ek hashr ho gaya
Ek teer aaya halq chida dam nikal gaya
Shabbar ka laal aur wo nairangi-e- jahaa'n
Mout aayi kaise waqt me dulha bana kahaa'n
Sehra ulat ke haq ki himaayat me kya gaya
Dulha ka jism ghodo'n se paamaal ho gaya
Wo dhoop aur wo pyaas ka toofaan al'amaa'n
Zaqmo'n se choor fatima ki jaan al'amaa'n
tapti hui zamee'n pa jo tyora ke gir pada
Sambhla na tha ke tan se juda sar bhi ho gaya