Ae qaake paak hurmate mehmaa'n nigahdaar
Khoda na jaaye asghare masoom ka mazaar
Aye arze karbala na rulana sagheer ko
kul cheh mahine ka hai abhi sheh ka gullezaar
Aye teere zulm dena gawaahi tu hashr me
Be jurm hurmula ne kiya hai jigar figaar
Aulaad walo syede bekas ka saath do
Faryaad kar rahe hai hussaine falak weqaar
Ummat ke baqsh waane ki qaatir hue shaheed
Asghar tumhari choti si mayyat ke mai nisaar
Shoukat wahi hua jo muqaddar me tha likha
Asghar ke sar ko kaat liya khod kar mazaar