Laashaye asghar ko rakh kar qabr me sheh ne kaha
Ae zameene karbala
Ye amaanat hai meri rakhiyo hifaazat se zara
Hai ye bekas ka pisar, qoon me sab tar batar
behre qaaliq rehm kar, bekasi par kar nazar
apne pehlu me ise aaram se leejo sula, hoyega ehsaa'n tera
laash se inkaar mat kar qoo'n se go inkaar tha
Ye mera noore nazar
chowd ke aaya hai ghar
de amaa'n isko agar
honge khush qairul bashar
Par mai waaqif hu na denge chain yaa'n bhi ashqiyaa'n, ek sitam hoga naya
dhoond kar ye qabr me kaatenge bacche ka gala
haaye is naadaan ke
chaao kya baano ko the
kehti thi wo din dikhe
ghutniyo'n asghar chale
Mil gayi'n saari umeedei'n qaak me naashaad ki
mout usko aagayi
god baano ki hui khaali tera pehlu basa
Ghar me laasha hai pada
kis tarah jaau'n bata
dil dahalta hai mera
haal baano ka ho kya
hasliyo'n waale ko apne jabke murda paayegi
ranj se mar jaayegi
dekh kar nanhi si mayyat maa ka dil phat jaayega
Kab ye haale dilruba
dekh sakta doosra
mai lahad me bhi sada
yaad karke ro'unga
teer lagte hi wo lena hichkiyaa'n muh khol kar aur lipatna baap se
wo uchalna halq se qoo'n ka tadapna laash ka
Tujh pe hai sab barmala
zulm jo mujh par hua
rahio tum shaahid zara
ab mera waqt aagaya
phir ye bole rakh ke mayyat qabr me "baaqar" hussain
hai ye mera noore ain
ye amaanat mujh se lele ab khuda haafiz tera