Ya Hussain, Hussain Ya Hussain X4
Sawar Pusht Pay Qatil Gala Tahay Khanjar
Ghareeb e Zehra Pay Shimr Asah Zulm Na Kar
1. Bawaqt e Asr Musalsal Sada e Gaibi Thi
Zameen e Karbobala Had Hai Ye Shakawat Ki
Ye Jaan e Binte Pyamabar Hai Kiya Nahi Hai Kahbar
2. Sahar Se Asr Talak Har Sitam Rawa Dekha
Har Aik Sitam Pay Kiya Shay Nay Shukar Ka Sajda
Niga Ha Koi Na Hargis Uthai Ajj Bashar
3. Nabi K Deen Ko Khoon Dey K Paalnay Walay
Pisar K Seenay Se Barchi Nikalnay Walay
Zameen e Karb Pe Barpa Hoa Hai Aik Mehshar
4. Zameen e Aalmay Gurbat Main Dekhtey Hain Hussain
Bana K Nanni Si Turbat Ye Sochtey Hain Hussain
Rabab Kahmay K Andar Na Ho Kahin Muztar
5. Hain Zakhm Aun o Mohammad Bhi Dil Pay Khai Howay
Burida Baazo e Abbas Hain Uthai Howay
Na Pochay Kahmay e Saadat Pay Kahin Ye Kahbar
6. Hassan K Laal K Tukray Paray Hain Maidaan Main
Hussain Thokarain Khatey Chalay Hain Maidaan Main
Nikal Na Ai Kahin Aaha Berida Khahar
7. Jo Aai Sham e Ghareeban Ujar Gai Khaymay
Sakina Khaaq Pay Baithi Hain Sir Jhukai Howay
Hain Sir Ba Rehna Haram Koi Dey Unhay Chadar
8. Rehan Azmi Farsh e Aza e Maula Hain
Yahan Pe Haqday Adab Ka Kahyal Rakhna Hai
Lagaye Koi Na Fatway Khudara Matam Par