Kanz e Aza

Agar Shabbir ka Matam

A noha written by Fazl Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

agar shabbir ka matam na hota

to phir islam mustehkam na hota


sar e maqtal tadapti kyun jawani

agar barchi mein uljha dam na hota

agar shabbir ka matam...


agar dhaaras na banta sabr e shabbir

lahoo baysheer ka tha kam na hota

agar shabbir ka matam...


na hoti gar bahattar ki shahadat

khushi dunya mein hoti gham na hota

agar shabbir ka matam...


na hote gar hussain islam haq par

tumhara aaj tak maatam na hota

agar shabbir ka matam...


na gar abbas hote jazb e nusrat

buland itna tera parcham na hota

agar shabbir ka matam...


na chut jaata agar godhi ka paala

to phir bano ke dil mein gham na hota

agar shabbir ka matam..


agar haq par na hote marne waale

azadari ka ye aalam na hota

agar shabbir ka matam...


na chinti gar sar e zainab se chadar

zameen se aasman tak gham na hota

agar shabbir ka matam...


behan gar qaid khane mein na jaati

to bhai faatha e azam na hota

agar shabbir ka matam...


na milti karbala ko gar bulandi

to phir kaaba kisi se kam na hota

agar shabbir ka matam...


agar shabbir ke aansu na hote

to dard e qalb e akbar kam na hota

agar shabbir ka matam...


na milti fazl gar sheh ki tajalli

to moti aansuon se kam na hota

agar shabbir ka matam...