Kanz e Aza

Ali ka Zikr

A noha written by Fazl Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ali ka zikr mohamed ka naam baaqi hai

hussain tum se khuda ka kalaam baaqi hai


mitane waale imamat ke mit gaye lekin

khuda ke fazl se ab bhi imam baaqi hai

ali ka zikr...


ali ke laal ke dunya may naam baaqi hai

yazeed mit gaya zikre anaam baaqi hai

ali ka zikr...


mitaye laakh zamana mitenge hum kaise

hamare sar pe hamara imam baaqi hai

ali ka zikr...


hamara unse kabhi faisla nahi hoga

yazeed mar gaya kuch rishtedar baaqi hai

ali ka zikr...


wo aur honge yateeman e mazhab o millat

hamare sar pe hamara imam baaqi hai

ali ka zikr...


khareeb jhoole ke aa kar ye ro ke bole hussain

abhi shaheedon may asghar ka naam baaqi hai

ali ka zikr...


zara ay maut teher ja kaha ye akbar ne

zaeef baap ka thoda sa kaam baaqi hai

ali ka zikr...


ba waqte aakhri zainab se ro ke bole hussain

tumhare waaste darbar e shaam baaqi hai

ali ka zikr...


mujeeb ko bhi bulayenge apne rauze par

isi umeed may ab tak ghulam baaqi hai

ali ka zikr...