Kanz e Aza

Ali ke Shehr Kufa

A noha for Darbaar e Shaam, written by Baba Nisaar Haideri. Lyrics in Roman Urdu.

ali ke shehr kufa mein samaan zainab pe kya aaya

kuja burqa shariyat ka rida ka bhi nahi saaya


janaza jis ki maadar ka utha tha parda e shab mein

zamana us ki beti ko sar e bazaar le aaya

ali ke shehr kufa mein...


kaha ro kar sakina ne chacha muslim duhaai hai

wo dekho phir mujhe zaalim tamache maarne aaya

ali ke shehr kufa mein...


darazi manzilon ki rayt ke tapte huwe raste

anokha saarban hai bediyan pehne huwe aaya

ali ke shehr kufa mein...


saje hai baam o dar kufa mein aamad hai aseeron ki

tamasha aale ahmed ka musalman dekhne aaya

ali ke shehr kufa mein...


wo khutba tha ke haibat cha gayi darbar saare par

ali ki sher dil beti mein hyder sa jalaal aaya

ali ke shehr kufa mein...


kaha sajjad se zainab ne ro ke kuch to batlao

najaf se le ke chadar kyun mera baba nahi aaya

ali ke shehr kufa mein...


jahan baba ki shaahi thi usi darbar mein zainab

nisar aayi barehna sar ye kaisa inquilaab aaya

ali ke shehr kufa mein...