haye ghurbat e ali
zahra ko dafn kar ke jo hyder e karrar aaye
sar ko jhukaye aasteen ulte ba-haal e zaar aaye
daaman phata hua hai gareban chaak hai
sar par mazaare fatema zehra ki khaak hai
ali khamosh baithe hai udaasi ghar mein chayi hai
bina maadar ke bacchon par ye pehli raat aayi hai
kahin bistar pe moo dhaampe huwe zainab sisakti hai
kahin kulsoom chupke chupke roti hai tadapti hai
ke nanhi bacchiyon ke ashkon se bheegi chatayi hai
bina maadar ke bacchon par...
jidhar bhi dekhte hai jaan nazar aati hai bacchon ko
dar o deewar mein bas maa nazar aati hai bacchon ko
ye nanhe bacchon ko taqdeer kis manzil pe laayi hai
bina maadar ke bacchon par...
kahe kis se ali jo zakhm dil par khaaye baithe hai
kaleje se hassan hussain ko liptaye baithe hai
haye mushkil kusha pe waqt ye mushkil kushaai hai
bina maadar ke bacchon par...
kabhi kulsoom ko dekha kabhi zainab ko behlaya
kabhi sote huwe hasnain ke baalon ko sehlaya
kabhi pani pila kar shaah ko dhaaras bandhayi hai
bina maadar ke bacchon par...
kaha bacchon ne ro ro kar khudara ab to aa jao
thapak kar loriyan de kar hamay amma sula jao
batao aaj tak tanha hamay kya neend aayi hai
bina maadar ke bacchon par...
kabhi lipte musalle se kabhi quran ko chooma
kabhi naalain dekhi bistare veeran ko chooma
kabhi tasbeeh maa ki aankhon se apne lagayi hai
bina maadar ke bacchon par...
andhere sar patakte hai ujaala kyun nahi hota
ye kaisi raat aayi hai savera kyun nahi hota
qasam is raat ne bhi aaj na dhalne ki khaayi hai
bina maadar ke bacchon par...
jo aayi maa ki khusboo farq par ek saibaan le kar
wo bacche aur bhi kuch roye zyada hichkiyan le kar
ali ne chadar e zehra jo bacchon ko udhayi hai
bina maadar ke bacchon par...
ali hasrat se takte hai kabhi betaab hote hai
mere masoom bacche kis tarha bin maa ke sote hai
duhaai khaaliq e akbar duhaai hai duhaai hai
bina maadar ke bacchon par...
musalsal raat bhar aamir sabhi ke ashk behte thay
laga kar seene se ainee ali bacchon ko kehte thay
tumhari maa se aur hum se qayamat tak judaai hai
bina maadar ke bacchon par...