Kanz e Aza

Ahle Haram May Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Fazl Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ahle haram mein hai rone ki dhoom

wawaila

haye maara gaya sayyed mazloom

wawaila


lut'ta hai ghar jalti hai qanate

rote hai sab bache masoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


desh madina kaahe choda

zahra bhayo ghamnaak

bairi satave ban ma bulawe

bewa udawe khaak

sar se ridayein lete hai wawaila

taane sitamgar dete hai wawaila

koi nahi hai sar par waaris

kisko pukare ye mazloom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


ek chadarwa deth na koi

sharm bhari sharmeine

chupke chupke rowat rowat

haath kadi bandhwaye

sehti hai kulsoom aah mehan wawaila

baazu e zainab aur rasan wawaila

betiyan zehra aur ali ki

aaj ye kaisa hai maqsoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


soye zameen par saare baraati

byahu na aayo raas

pagdi kahat hai qasim dulha

todi hamari aas

qaid huwi ek shab ki dulhan wawaila

lut gaya kangna baandhi rasan wawaila

roti hai zainab khaak uda kar

dekhti hai umme kulsoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


karbal ban ma loot machi hai

bindri kare faryaad

soye sab pardes ma musafir

desh bhayo barbaad

bachon ko koi roti hai wawaila

bewa koi jaan khoti hai wawaila

kehti hai bano asghar jaani

chida tera nazuk halqoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


aur dukhawe dukhte dil ko

taras na koi khaaye

dukh ma satave qaidi banave

laakh dukhi chillaye

tauq pinaya abid ko wawaila

kehte hai isko chain na do wawaila

tan mein hai tap aur bediyan bhaari

kaisi bala mein hai mazloom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


koi na aawe koi na pooche

koi na deve daad

man mein jaisu aave machave

zulm kare jallad

sab ko bithaya ooton par wawaila

di na kisi ko ek chadar wawaila

shaam ko mazloom aah chala hai

leke haram ko lashkare shoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...


jaan ko sulawe chaati upar

zahra ka dildaar

wan ko litawe dharti bheetar

maare shimr har baar

baliyan cheeni bachi ki wawaila

us par eeza aur bhi di wawaila

kaan phate hai khoon hai behta

tadapte hai bache masoom wawaila

ahle haram mein hai..

haye maara gaya sayyed...