naize pe gaye jab shaah e umam
sar peet rahe thay ahle haram
sadaat mein ek bezaari thi
kohraam tha aur gham khwari thi
jab shaah ne yeh manzar dekha
sar peet rahe hai aal e aba
shabbir ne pad ke bismillah
bar nok e sina quran padha
kuch dayr mein phir manzar badla
kam hone lagi matam ki sada
khush rang fizayein chaane lagi
ahsan ki sadayein aane lagi
pahunchi jo falak tak sheh ki sada
allah ne bhi khush ho ke kaha
ahsantum ya hussain
ahsantum ya hussain
arwaah mein jo waada tha kiya
wo tum ne nibhaya hai
islam ki khaatir jangal mein
ghar apna lutaaya hai
raazi hoon mai tujhse mere wali
ay ibne batool ay ibne ali
karta hoon mai tera shukr ada
ahsantum ya hussain...
sunkar ye sukhan allah ke
kehte thay ye rasool allah
qurban mai tujh par sau jaan se
waah mere hussaina waah
bachpan mein ay mere lakhte jigar
waada jo kiya tha ay dilbar
wo tum ne kiya hai aaj wafa
ahsantum ya hussain...
naize ki ani par aa kar bhi
quran sunaya hai
hum jeet gaye sar de kar bhi
dunya ko bataya hai
dekhi jo shuja’at bete ki
aur sun ke tilawat bete ki
hyder ki najaf se aayi sada
ahsantum ya hussain...
zehra ne kaha ay laal tujhe
tanha na karungi mai
jayega agar tu shaam talak
to saath chalungi mai
hai naaz bahot tujh par beta
jo sheer pilaaya tha us ka
kya khoob kiya hai farz ada
ahsantum ya hussain...
kya khoob fareeza ay bhai
anjaam diya tum ne
jo kaam na koi kar paata
wo kaam kiya tum ne
shabbir se kehte thay ye hassan
bas ab na karo tum ranj o mehan
hai zaat tumhari fakhre khuda
ahsantum ya hussain...
abbas dilawar aun o mohamed
qasim o akbar hai
naizon pe sar e shabbir ke sang
shohda ke kate sar hai
aankhon se rawan hai ashk magar
hai saare shaheedon ke lab par
hum aap pe ho har baar fida
ahsantum ya hussain...
kehti thi zameen e karbobala
gumnaam zameen thi mai
lagta tha kumail o aamir
dunya pe nahi thi mai
pehchaan dilaayi sarwar ne
kya shaan badhaayi sarwar ne
ta hashr yehi hai meri sada
ahsantum ya hussain...