Kanz e Aza

Akhri namaz

A noha for Imam Hussain (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Akhri namaz

Allah, allah allah..(6)


Yu akhri hussain ne sajda adaa kiya..(2)


jalti hui zamee'n ko..(2)

mo'alla bana diya


Yu akhri hussain ne sajda adaa kiya..(2)


1. Laashe jawa'n thi saamne ibne batool ke

seene se jo hata nahi akbar ke baad se

wo haath kaanpta hua takbeer ko utha

2. Takbeer sunke laasha e akbar tadap gaya


tharra rahe the zauf se maula ke dast o paa

zakhmo se sheh ke aati thi al-hamd ki sadaa

3. Thi ghurbat e hussain par nabiyo ki bhi nazar

tuti kamar thi gham mein alamdaar ke magar


tha haalat e qayaam mein zahra ka laadla

4. Rote the is khayal se maula qayaam mein

na mehramo ki bheed mein darbar e shaam mein

zainab khadi rahegi bhala kaise berida


5. Yaad aagaya ruku mein beemar ka safar

zainab ki beridayi ke ghum mein jhukaye sar

darbaar tak ruku mein sajjad jayega

6. Masjid mein reh gaya tha jo ek sajda e ali


maqtal mein ibne zahra ne wo sajda aakhri

fuzto be rabbe kaabe ki tareekh mein kiya

7. Aayi jo aasmaan se awaaz e irji'ee

zainab ke sar se chadar e tatheer gir gayi


sajde me sar tha shaah ka khanjar gale pe tha