Kanz e Aza

Ae mere bhai reza

A noha for Imam Raza (a.s) (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Ae mere bhai reza

Ae mere Bhai RAZA-2


Assalamo alaika ya ghareebal ghuraba ya moinaz zoafaye wal fuqara

As sultan Arab E wal ajam

Mola ALI ibna MUSA RAZA.


Ay mere Bhai RAZA-3


AY GHAREEBUL GHURABA AY MERE BHAI RAZA-2

Roke MAASOOMA E QUM-2 qum SE deti hain sada


Ay mere Bhai RAZA


1) Tera deedar nahi Bhai qismat me meri, De hawaon ko Zara hukm ay mere ALI

Sun lun awaaz teri-2 dil behel jaye mera


Ay mere Bhai RAZA..


Ay GHA

2) Dekhne aayi hun mai qum me Surat teri, Ay ghareebul ghuraba dekh ghurbat meri, Koyi batlata nahi-2 mujhko mashhad ka pata.


Ay mere Bhai RAZA.


3) Mujhpe Jo beet gaye wo alam kuch bhi nahi, Samne ZAINAB k mere gham kuch bhi nahi, Maina bazaaar gayi-2 na chini meri rida.

4) Jabse pahonchi hun mai qum dil hai qabu me kahan, Gham zada aaye nazar shehr k peer O jawan, Dekh kar kaale alam-2 dil dehelta hai mera.

Ay mere..

Ay ghareebul


5) Hun yateema lekin wo yateema to nahi, Qaidi Baba KI qasam mai SAKINA to nahi, Jiske gohar bhi chine-2 haye jiska daaman bhi jala.

Ay

GHAREEBUL ghuraba

6) Kis jagah kaante chubhe kis jagah thak k giri, Poocho chalo se Zara kaise Milo mai chali, Zakhm pairo k tumhe-2 gham sunayenge mera.


Ay..

Ay ghareebul..

7) Sath jayega mere ye gham e tanhayi, Tum bhi AKBAR KI tarha nahi laute Bhai, Roz SUGHRA ki tarha mai jalati hun diya.

8) Qum SE mashad Jo gaya zair e MOLA RAZA, Ay takallum wo yahi leke paigham chala, Rasta Teri behen-2 ab takti hai tera.


Ay mere Bhai RAZA


Ay ghareebal ghuraba.